Tuesday, December 21, 2010

محفوظ کر لو

مجھے لکھ کر ہی کہیں محفوظ کر لو
تمھاری باتوں سے نکلتا جا رہا ہوں میں

Thursday, December 2, 2010

Firaq e yaar

Firaq-e-Yaar ki barish malal ka mosam
Hmaray shehar ma utra kamal ka mosam

Wo ek dua jo meri na-murad lot aai
Zuban sy rooth gya phir sawal ka mosam
...
Boht dino say mery zehan k darichoon main
Thayhar gya hai tumharay khyal ka mosam

Jo bay-yaqeen ho baharain ujar b sakti hyn
Tu aa k dykh lay meray zawal ka mosam

Muhabbatain b teri dhoop chhaoon jysi hyn
Kabi yeh hijar kabi yeh wisaal ka mosam

Koi mila he nahi jis ko sonptay Mohsin
Hum apny khaab ki khushbu khyal ka mosam...

Is khayal main

Is khayal main barha liye rat jagay apnay
mohabat tum ko hy?
nehi hy?
thi?
nehi thi?

Lab e yaar ki khushboo

Ye meri mehk hy k lab e yaar ki khushboo
kis raah ki janib sy saba aati hy dekho