Thursday, December 2, 2010

Firaq e yaar

Firaq-e-Yaar ki barish malal ka mosam
Hmaray shehar ma utra kamal ka mosam

Wo ek dua jo meri na-murad lot aai
Zuban sy rooth gya phir sawal ka mosam
...
Boht dino say mery zehan k darichoon main
Thayhar gya hai tumharay khyal ka mosam

Jo bay-yaqeen ho baharain ujar b sakti hyn
Tu aa k dykh lay meray zawal ka mosam

Muhabbatain b teri dhoop chhaoon jysi hyn
Kabi yeh hijar kabi yeh wisaal ka mosam

Koi mila he nahi jis ko sonptay Mohsin
Hum apny khaab ki khushbu khyal ka mosam...

No comments:

Post a Comment