Monday, October 4, 2010

Iqbaliyat

Is dasht k sehra ko samandar kar dy
Ya meri ankh k har ashk ko pathar kar dy

Ay Allah main or nehi kuch tujh sy mangta
Meri chadar mery peron k barabar kar dy

Mujhy ghair na ly ye aatish e duniya kehin
Mujh py apni rehmat ka saya kar dy

Mujhy khak na kar dy meri hasti ka gharoor
Mujhy mery nafs sy mo'atbar kar dy

Ay Khuda meri dua main wo asar kr dy
Main mangon tujh sy qatra or tu samandar kar dy

No comments:

Post a Comment