Nikal k ghar sy kabhi mery rastoon main aa
bikhar k meri tarha tu musafaton main aa
teri talash main n janey kab sy phir raha hon
main thak chuka hon tu ab meri aahaton main aa
main rang o boo ki numaiesh main aab ' deeda hon
tu abar ban k meri simt barishon main aa
main tery wastay khiltay gulaab laya hon
bahaar ban k kabhi mery mosamoon main aa
mohabbaton main bicharna koi kamal nehi Mohsin
kamal ye hai k bichar k wapis mohabaton main aa
No comments:
Post a Comment