Soch'ta hon mohabat sy kinara kar lon
dil ko begana e targheeb o tamna kar lon
soch'ta hon k mohabat hy janoon o ruswai
chand bekar sy behoda khayalon ka hajoom
ik azad ko paband banany ki kawas
ik begany ko apnany ki sai-e-mohoom
soch'ta hon k mohabat hy saroor o masti
is ki tanveer sy roshan hy fiza e hasti
soch'ta hon k mohabat hy bashar ki fit'rat
is ka mit jana mita dena bohat mushkil hy
soch'ta hon k mohabat sy hy tabinda hayat
aap ye sham'aa bujha dena bohat mushkil hy
soch'ta hon k mohabat pe kari shartain hain
is tamadun main musarat py bari shartain hain
sochta hon k mohabat hy ik afsurda si lash
chadar e izat o namoos main kafnai hoi
dor e sarmaya ki rondi hoi ruswa hasti
dargah e mazhab o ikhlaq ki thukrai hoi
soch'ta hon k bashar or mohabat ka janoon
aisy bosida tamadun main hy ik kar e zaboon
soch'ta hon k mohabat sy kinara kar lon
No comments:
Post a Comment