Chehra koi bhi ankh main thehra na phir kabhi
Dil ny kisi bhi shakhs ko chaha na phir kabhi
Rootha zara si bat py uth kar chala geya
Aisa geya k lot k aya na phir kabhi
Kuch youn mila tapaak sy bas ishq ho geya
Wo ajnabi tha kon? socha na phir kabhi
Us ny ba'tor tohfa diya tha libaas e hijar
Pehna jo aik bar to utara na phir kabhi
Dolat mili to chin gai ehsas ki qaba
Us ny mera mizaj bhi pocha na phir kabhi
No comments:
Post a Comment