Chalo ik bar phir sy ajnabi ban jain ham dono
na main tum sy koi umeed rakhoon dilnawazi ki
na tum mer taraf dekho ghalat andaz nazron sy
na mery dil ki dharkan larkhrae meri baton sy
na zahir ho tumhari kash ma kash ka raz nazron sy
tumhain jo koi uljhan rokti hy pesh qadmi sy
mujhay bhi log kehty hain k ye jalway paary hain
mery hamrah bhi ruswaiyan hain mery mazi ki
tumharay sath b guzri hoi raton k saaey hain
ta'ruf rog ho jaey to us ka bholna behtar
ta'aluq bojh ban jaey to us ka torna acha
wo afsana jisy anjam tak lana na ho mumkin
usay ek khoob sorat mor dy kar chorna acha
chalo ik bar phir sy ajnabi ban jain ham donon
No comments:
Post a Comment