Chalo khawabon main milty hain
k needain baant lety hain
zamany ki nazar sy door ja kar ghoom aaty hain
nai duniya basatay hain jahan
na koi rokny wala na koi tokny wala ho
na koi khof duniya ka
na koi dar zamany ka
jahan barish mohabat ki
hamain madhosh kar jaey
tumharay samny main hon
mery samny tum ho
chalo is zindagani main
amar kar lain is kahani ko
to phir khawabon main milty hain
mohabat orh lety hain
No comments:
Post a Comment