Wednesday, November 24, 2010

Sham k baad

Mujh ko har roz ye hota hy guman sham k baad
aaj har haal main jal jaegi jaan sham k baad
aisi barbaadi kabhi dekhi no ho gi tum ne
na koi raakh, na shola, na dhuaan sham k baad
is tarha hoti hay barish koi andar andar
jesy rota hy koi chup k yahan sham k baad
jab kisi bholy houye dukh py nazar par jaey
ashk phir mery ho jatey hain rawan sham k baad
neend aati hi nehi aankhon ki dehleezon tak
khali reh jata hy aksar ye makan sham k baad

No comments:

Post a Comment