Wednesday, November 24, 2010

Suno

Suno
ab sans ki aamad o raft dushwar lagti hy
muhabbat ki zuban sy zindagi bezaar lagti hy
wafa ki yad main har nigah ashkbar lagti hy
ye kesi rat hy jo aankhon main bedar lagti hy
kiya aisa ho nehi sakta
achanak tum chalay aao
meri har sans achanak tham k rawan ho jaey
muhabbat ki zuban khud zindagi ki zuban ho jaey
muhabbat ki yad main roti nigah be-eeman ho jaey
guzarti shab achanak mujh py meharban  ho jaey
suno
kiya aisa ho nehi sakta achanak tum chalay aao.

No comments:

Post a Comment